Urdu Islamic Poetry Biography
Source:-Google.com.pk
Rashq karta hai falak aesi zameen par..
Rashq karta hai falak aesi zameen par,
Jispe do chaar gharri zikr e khuda hota hai..
----------------------------------
Karam jab Aaall-e-Nabi ka shareek hota hai..
Karam jab Aaall-e-Nabi ka shareek hota hai,
Bigar bigar ke har kaam theek hota hai..
----------------------------------
Roz gunaah karta hu’n, woh chupata hai..
Roz gunaah karta hu’n, woh chupata hai Apni Rehmat se,
Mein majboor apni Aadat se, woh mash’hoor Apni Rehmat se…
----------------------------------
Khudaa ko aik mantey hain lekin..
Khudaa ko aik mantey hain lekin,
Khudaa ki aik tak nahin mantey..
----------------------------------
Hawaa khilaaf thi lekin chiraag khoob jala..
Hawaa khilaaf thi lekin chiraag bhi khoob jala,
Khuda bhi apne honey ke kya kya saboot deta hai..
----------------------------------
Wohi rakhe ga mere ghar ko mehfooz..
Wohi rakhe ga mere ghar ko balaaon se mehfooz,
Jo shajjar se ghaunslaa girne nahin deta..
----------------------------------
Syed bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi ho..
Yu’n to syed bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi ho,
Tum sabhi kuch ho, bataao to musalmaan bhi ho ?
----------------------------------
Ajeeb Faiz Hai Aaqa Apki Muhabbat Ka
Ajeeb Faiz Hai Aaqa (SAW) Apki Muhabbat Ka,
Durood Aap Pay Parhu’n Aur Khud Sanwar Jaaun..
----------------------------------
Youn to rehmat hy teri, Teray ghazab py haavi..
Youn to rehmat hy teri, Teray ghazab py haavi,
Phir bhi Mehshar men khudaya mera Parda rakhna..
----------------------------------
Guzar rahi hai jo gunaahon mein yeh kesi zindagi..
Na afsos hai tujhe sahab na koi sharmindagi hai,
Guzar rahi hai jo gunaahon mein yeh kesi zindagi hai..
----------------------------------
Meray Bachpan Ke Din Bhi Kya Khoob The..
Meray Bachpan Ke Din Bhi Kya Khoob The,
Be-Namazi Bhi Tha Aur Be-Gunah Bhi…
----------------------------------
Bachay bhi Ghareebi ko Samjhny lagay hain
Bachay bhi Ghareebi ko Samjhny lagay hain Shayed,
Ab Jaag bhi jaatay hain toh Sehhri Nahi Khatay…!
----------------------------------
Is Khaak Ko Hidayat De Maula..
Is Khaak Ko Hidayat De Maula,
Uss Khaak Mein Milny Se Pehle..