Thursday, August 28, 2014

Mirza Ghalib Urdu Poetry Urdu Poetry SMS Sad Love Pic Wallpaper Ahmed Faraz Wasi Shah Romantic Photos Pics

Mirza Ghalib Urdu Poetry Biography

Source:Google.com.pk
Mirza Asadulallah Khan Ghalib was born on 27th December 1797 in Agrah. He was a great poet. Ghalib lived a very difficult life. Ghalib give a new life to urdu language and till now Ghalib is famous in youngsters, ladies and in elders. Ghalib portray all the human felling in his poetry and that is the reason people relate them self to his potery. Ghalib died on 15th February 1869 in delhi. In this page, you will read Mirza Ghalib Biography, Mirza Ghalib History In Urdu and Roman Hindi.
Urdu mein ese shura ki kami nahi jo mukhtalif tabqat mein mukhtalif adwar ke doraan maqbool rahe. Koi nojawanon mein, koi khawaten mein aur kisi ko umar rasidah logon ki sanad e pasandedgi mili. Baz fankar maqboliyat aam hasil na kar sake lekin alla elmi o adbi satah rakhne walon mein maqbol howe. Ghalib un shura mein se hain jin ko har tabqe ne sar aankon par bethaya lekin Ghalib ki nudrat aur buland khayali ko bayan karne ke leye ye kafi nahi, kuch aur chaheye wossat mery bayan ke leye, ap yun samajh len ke Ghalib na hote to koi aur hota lekin wo Ghalib na hota.
Daber ul mulk, Najam ud dola, mirza Nosha, Asad ulallah Beig Khan Ghalib 27 December 1797 ko Agrah mein peda howe. 15 February 1869 ko Delhi mein Mirza Ghalib ka inteqal howa. Mirza Ghalib ne bara pur ashob daur dekha jo Saltanat e Mughliya ke zawal e akhir aur angrez ke mukamal tasalut ka zamana tha. Mirz Ghalib ki zati zindagi bhi masaib se pur rahi. Ghalib ki shakhsiyat mushkil dor mein parwan charhi. Mirza Ghalib ki shayari Ghalib ki shakhsiyat se photi hai. Mirza Ghalib ne jis pur ashob daur mein hosh sambhala, us ka pora adrak, mukamal dukh aur insanon par jo biti, us ka bayan un ki shayari mein milta hai. Ghalib ki shakhsiyat bayakwaqat admiyat aur insaniyat ke anasir se malamal thi. Dukhon., shidat e ahsas aur halat ke jabar se mehfoz rehne ka un ka apna tariqa tha aur ye zindagi se farar nahi balke us ka samna karne ke liye tha.Ghalib ne darasal urdu ko zinda rakha hai. Is zaban mein wo bayan kiya hai jis ki is se qabal nazir nahi milti. Behad sanjidah mehsosat, afkar aur khayalat ko yun bayan karna ke goya ye mere dil mein hai, Ghalib ka kamal hai. Jab hum ajz e bayan ka shirak hote hain to Ghalib ka koi sher humari madad ko ajata hai aur humare dil mka bojh halka kar deta hai. Is ki wajah ye hai ke saqawat apni batni taqat par zindah rahti hai, koi kisi ko majbor nahi kar sakta ke “ye zaban apnao ya ye lebas pheno.” Isi tarah koi ksis ko ye majbor nahi kar sakta ke “falan ko pasand ya napasand karo.” Ye fard ke zauq, us ki zehni satah aur zarorat ka mamla hai. Ghalib aaj bhi is liye pasandedah hain ke wo un mehsosta ko jo hamari giraft mein nahi ate, fankarana aur takhliqi chabuk dasti ke sath bayan kardete hain. Ghalib ki infaradiyat aur sheri azmat ka sabot ye bhi hai ke un ki ungli tham kar kitne log bare shair to ban gaye lekin kisi ko un ki tusi qarar nahi deya ja sakta kyun ke wo apni jagah mukamal shayar hain aur un ka kamal un par khatam ho gaya.Jis tarah un ki shairi anokhi hai, un ke khotot bhi nasar nigari ken aye dor ka aghaz hain. Un ke tarz e tehrir ne khat nawisi ko bilmushafa goftogo bana deya. Ghalib ne gehre dukh ko mazah aur zarafat ki dhal ke zarye khud par hawi hone se roka. Un ke khotot is ki waze missal hain. Zarafat ke makhsos andaz ne un ke khotot ko dilchasp nasar nigari bana deya. Ghalib ki takhliq taqat ka sab se bara sabot ye hai ke humari tehzib aur humare shaor par Ghalib ka asar ghalib hai.
"Banti nahi hai, badah o saghar kahe baghair"
Ghalib par bohat likha gaya hai, aur likha jata rahe ga, haqeeqat to ye hai ke is azeem fankar par jitna likha jaye kam hai. 
“Warq tamam huwa aur madah baqi hai
Safina chaheye is behr e beqaran ke liye”

1 comment: