Urdu Poetry On Love Biography
Source:-Google.com.pk
hal usaka tere chehare pe likha lagata hai
wo chup chap khada hai tera kya lagata hai
yun to har cheez salamat hai meri duniya mein
ek ta’alluq hai jo tuta hua lagata hai
main ne socha tha ki aabad hun ek shahar mein main
yan to har shakhs ka andaz juda lagata hai
moddaten bit gain tay na hui manzil-e-shauq
ek aalam mere raste mein pada lagata hai
ae mere jazba-e-dauron mujh mein kashish hai itani
jo khata hota hai wo tir bhi aa lagata hai
jane kon si pasti mein gira hun “shehzad”
suraj bhi is qadar dur hai ki diya lagata hai.
Wo firaq aur wo visal kahan
wo shab-o-roz-o-mah-o-sal kahan
fursat-e-karobar-e-shauq kise
zauq-e-nazzara-e-jamal kahan
dil to dil wo dimag bhi na raha
shor-e-sauda-e-khat-o-khal kahan
thi wo ik shakhs ke tasavvur se
ab wo rannai-e-khayal kahan
aisa aasan nahi lahu rona
dil mein taqat jigar mein hal kahan
hum se chuta qimarkhana-e-ishq
van jo jayen girah mein mal kahan
fikr-e-duniya mein sar khapata hun
main kahan aur ye vabal kahan
muzamahil ho gaye quva ‘ghalib’
wo anasir mein aitadal kahan.
Humare Hal Per Roya December
Woh Dekho Toot Ker Barsa December
Guzar Jata Hai Sara Saal Yun Toh
Nahi Katta Magar Tanha December
Bhala Barish Se Kya Sarab Ho Ga?
Tumhare Wasal Ka Payasa December
Woh Kab Bichra? Nahi Aab Yaad Lekin
Bas Itna Illm Hai K Tha December
Yun Palkein Bheegati Rehti Hain Aise
Meri Aankhon Main Jaise Aa Thehra December
Jama Ponjhi Yehi Hai Umer Bhar Ki
Meri Tanhai Aur Mera December.
Excellent post!!! I have learnt many things form here. I have also website where you can ivsit and pass your leasure time. In everyone’s life, at some time, our inner fire goes out. It is then burst into flame by an encounter with another human being. We should all be thankful for those people who rekindle the inner spirit. To get more information, visit here……………
ReplyDeletesad love