Urdu Poetry Ahmed Biography
Source:-Google.com.pk
Ahmed Faraz 14 January 1931 ko Kohat mein peyda hue. Ap ne Urdu aur Farsi mein MA kiya. Edward College ( Peshawar ) mein taleem ke dauran radio Pakistan ke liye feature likhne shuru kiye. Jab un ke pehla shaiyri majmooa “ Tanha Tanha ” shaey hua to wo BA mein the. Taleem ki takmeel ke bad radio se alehda ho gaey aur University mein Lecturer ship ikhteyar kar li. Usi mulazmat ke dauran in ka dosra majmooa “ Dard-e-Aashob ” chapa. Jis ko Pakistan writers Guild ki janib se “ Adamjee Adbi Award ” ata kiya gaya. University ki mulazmat ke bad Pakistan National Centre ( Peshawar ) ke director muqarrar hue. Unhe 1976 mein Akadmi Adbiyat Pakistan ka pehla Sarbarah banaya gaya. Bad aza General Zia ul Haq ke daur mein inhe majboran jila watni ikhteyar karni parhi.
Aap 2006 tak National Book Foundation ke sarbarah rahe. In ka kehna tha ke aik TV interview ki padaash mein unhe National Book Foundation ki mulazmat se farigh kar diya gaya. Ahmed Faraz ne 1988 mein Adamjee Adbi Award aur 1990 mein Abasin Award hasil kiya. 1988 mein unhe Bharat mein Firaq Gorakh Pori Award se nawaza gaya. Academy of Urdu Literature ( Canada ) ne bhi unhe 1991 mein award diya. Jab ke Bharat mein inhe 1992 mein Tata Award mila.
Ahmed Faraz ne mutadid mumalik ke daurey kiye. In ka kalam Aligarh University aur Peshawar University ke nisab mein shamil hai. Jama malya Bharat mein in par PhD ka maqala likha gaya, jis ka mauzoo Ahmed Faraz ki Ghazal hai. Bahawalpur mein bhi Ahmed Faraz Fun aur Shakhsiyat ke unwaan se PhD ka maqala tehreer kiya gaya. In ki shaiyri ke English, French, Hindi, Yogusalawi, Russian, german aur Punjabi mein tarajum ho chuke hain.
Ahmed Faraz jinho ne aik zamane mein Fauj mein bhi mulazmat ki koshish ki thi. Apni shaiyri ke zamana-e-urooj mein Fauj mein Amirana rawish aur us ke siyasi kirdar ke khilaf sheyr kehne ke sabab kafi shohrat paai. Inho ne Zia ul Haq ki Amriyat ke khilaf nazmein likhi, jinhe bohat shohrat mili. Moshaeron mein kalam parhne par unhe Fauji Hukoomat ki mukhalfat ka samna hua. Jis ke bad Ahmed Faraz ko khud sakhta jila watni bhi bardasht karni parhi.
2004 mein General retired Parvez Musharraf ke daur-e-sadarat mein inhe Hilal-e-Imtiaz se nawaza gaya. Lekin 2 saal bad inho ne yeh Tamgha sarkari policies par aehtejaj karte hue wapis kar diya. Ahmed Faraz ki nazmon aur ghazlon ko aalmi Satah par shohrat hasil hui. Iqbal aur Faiz ke bad Qabool-e-Aam ka jo darja faraz ko hasil hua wo Urdu shairi mein aur kisi ko nasib nahi hua.
Aik Shaiyr ke taur par Faraz agarcha sehat zaban ke sath sath auzan-o-behwar par dastaras aur sheyr ki technique ki barikiyon se waqfiyat ko bhi bohat aehmiyat dete the. Lekin un ka kehna tha ke Shaiyr aur adeeb sirf lafzon ka bazigar nahi hota bal ke us ki kuch samaji zimmedariyan bhi hoti hain aur wi aik behis, bekhabar aur bezameer shakhs ki tarha gird-o-pesh ke halaat se be niyaz ho kar zindagi nahi guzaar sakta.
Zulfiqar Ali Bhutto ki shakhsiyat agarcha un ka siyasi ideal thi, lekin zindagi ke aakhri ayyam mein wo mulk ki siyasi sorat-e-haal se sakht nalaa the. Judges ki bartarfi pew o intehai dil girifta rahe aur Peoples Party ki maujoda hukoomat ko naukriyan, wizartein, thekey aur permit dilwane wale commission agents ka aik guroh qarar dete rahe. Media pe hone wali guftugo ke dauran unho ne NRO ko rishwat ki aik qisam qarar diya tha. Jis ke zariye awam ka arbon rupiya loot le jane wale thag aik dosre ke jaraiym par pardah daal rahe hain.
A sample of his poetry is:
Nazm: Khwaab martay naheen
Khwaab martay naheen
Khwaab dil hain, nah aankhen, nah saansen keh jo
Rezaa, rezaa huwe to bikhar jaayen ge
Jism kii maut se ye bhii mar jaayen ge
No comments:
Post a Comment