Ahmed Faraz Urdu Poetry Biography
Source:-Google.com.pk
4 January 1931 ko Kohat mein peyda hone wale Ahmed Faraz ne Edward College Peshawar mein taleem hasil karne ke dauran Radio Pakistan ke liye feature likhna shuru kiye. Jab in ka pehla sheyri majmoaa “Tanha Tanha” shaey hua to Ahmed Faraz BA mein zeyr e taleem the. Bad azaa unho ne Urdu mein MA kiya. Wo taleem ki takmeel ke bad Radio se alehda ho gaey aur University mein Lecturer ship ikhteyar kar li. Isi mulazmat ke dauran in ka dosra mamoaa “Dard e Aashoob” shaey hua.Jis par writer Guilds ki janib se unhe Adam Jee adbi award mila. University ki mulazmat ke bad Pakistan National Centre Peshawar ke director muqarrar hue. Unhe 1976 mein akadmi adbiyat ka pehla sarbarah banaya gaya. General Zia ul Haq ke daur mein unhe majboran jilawatni bhi ikhteyar karni parhi.Marhoom 2006 mein National Book Foundation ke sarbarah rahe. In ke kehna tha ke TV interview ki padaash mein unhe National Book Foundation ki mulazmat se farigh kar diya gaya. Unho ne mutadid mumalik ke tour kiye. Marhoom ka kalam Aligarh University aur Peshawar University ke nisaab mein shamil hai. Jama maliya Bharat mein in par PhD ka maqala likha gaya. Jis ka mauzoo Ahmed Faraz ki ghazal hai. Bhawalpur mein bhi Ahmed Faraz ke fun aur shakhsiyat ke unwaan se PhD ka maqala tehreer kiya gaya. In ki poetry ke English, Francis, Hindi, Rossi, German, Yogusalawi aur Punjabi zuban mein tarjumey ho chuke hain.Ahmed Faraz jinho ne aik zamane mein Fauj mein mulazmat ki koshish ki thi. Unho ne apni poetry ke zamana urooj mein Fauj mein aamrana rawish aur is ke ziyasi kirdar ke khilaf sheyr kehne ke sabab kafi shohrat paai. Unho ne Zia ul Haq ke Marshal law ke daur ke khilaf nazmein likhi. Jinhe bohat shohrat mili. Mushaeyron mein kalam parhne par unhe Military Government ne harasat mein le liya. Jis ke bad Ahmed Faraz ko khud sakhta jilawatni bhi bardasht karna parhi. 2004 mein General retire Parvez Musharraf ke daur e sadarat mein Ahmed Faraz ko Hilal e Imtiaz se nawaza gaya . lekin Faraz ne 2 baras bad sarkari policies par aehtejaj karte hue yeh tamgha wapis kar diya. Ahmed Faraz ne kae poems likhi. Jinhe aalmi satah par saraha gaya. In ki ghazaliyat ko bhi bohat shohrat mili. Ahmed Faraz ki poetry par mabni in ke 14 majmoaey kalam shaey hue. In mein Tanha Tanha, Dard e Aashoob, Shab e Khoon, Nayafat, Mere Khuwab reza reza, Be awaz Gali Kochon mein, Nabina Shehar mein Aaiyna, Pas Andaaz Mausam, Sab Awazein meri Hain, Khuwab e Gul pareshan Hain, Modlak, Ghazal Bahana Karo, Jana Jana aur Ae Ishq Junoon Pesha shamil hain.Marhoom ki kae ghazlon ko Mehdi Hasan, Madam Noor Jahan, Naheed Akhter, Mehnaz o deegar gulokaron ne gaya. Jinhe aalmi satah par shohrat hasil hui. Ahmed Faraz shadid alalat ke baiys 25 August ko is jahan faani se kooch kar gaey, magar in ki poetry ke naqoosh aaj bhi dilon mein maujood hain. Mumtaz poet apni shaeyri se dilon par raaj karne wale Ahmed Faraz ki 25 August ko 5th (panchvi) barsi mania jaegi. Ahmed Faraz ke qarebi doston aur Pakistan ke Mumtaz shoara ka kehna hai ke Ahmed Faraz 3 naslon ka chahita poet hai. Mumtaz taraqqi pasand poet Himayat Ali poet ka kehna hai ke Ahmed Faraz is aehad ka bohat barha hawala hai. Faiz ke bad jo mehbobiyat unhe mili, wo kisi ko bhi nahi mil saki. Mumtaz poet Amjad Islam Amjad ne kaha ke Faraz ke liye aik do jumley kehna ziyadti ho gi. Wo itna piyara insaan tha, ke is hawaley se kae din tak bhi batein ki jaeyn to kam hai.1970 ke bad ki jo hamari sheyri riwayat hai us mein 3 he barhe naam hain. In mein Ahmed Faraz, Muneer Niazi aur John Aeliya top of the list hain. Ahmed Faraz ko ALLAH PAK ne bohat salahiyaton se nawaza tha.s wo in khush qismat logon mein se the. Jinhe chahne wale latadad insaan the. Aisa aksar kam he hota hai. Asghar Nadeem Syed ne kaha ke mujhe Faraz Sahab bohat yaad aa rahe hain. Ahmed Faraz 3 naslon ke poet hain.
Ahmed Faraz Urdu Poetry Urdu Poetry SMS Sad Love Pic Wallpaper Ahmed Faraz Wasi Shah Romantic Photos Pics

No comments:
Post a Comment