Urdu Poetry Ranjish Biography
Source:-Google.com.pk
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chod ke jane ke liye aa
pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa
kis kis ko batayenge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa
kuch to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa
ek umr se hun lazzat-e-giriya se bhi maharum
ae rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye aa
ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummiden
ye aakhiri shammen bhi bujhane ke liye aa
mana ki muhabbat ka chipana hai muhabbat
chupke se kisi roz jatane ke liye aa
jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
aise hi kisi roz na jane ke liye aa
-----------------------
Kabhi Hum Bheegte Hain Chahaton Ki Taiz Baarish Mein
Kabhi Barson Nahin Milte Kisi Halki Se Ranjish Mein
Tumhi Mein Dewtaon Ki Khu Boo Nahin Thi Warna
Kami Koi Nahin Thi Mere Andaaz-E-Parastish Mein
Ye Pehle Soch Lo Phir Aur Bhi Tanha Na Hojana
Usey Chhoone Ki Khuwahish Mein Usey Paane Ki Koshish Mein
Buhat Se Zakham Hain Dil Mein Magar Aik Zakham Aisa Hai
Jo Jal Uthta Hai Raaton Mein Jo Lo Deta Hai Baarish Mein
-----------------------
Mujh ko kisi pe toot ke marney nahin diya…
Mujh ko kisi pe toot ke marney nahin diya,
Duniya ne dhangg se ishq bhi karne nahin diya..
-----------------------
Zarrey zarrey se nikalti thin ajab awaazain..
Zarrey zarrey se nikalti thin ajab awaazain,
Sab se larrney ke liye ishq akela niklaa..
-----------------------
Mein nikla sheher ko..
Mein nikla sheher ko,
Shaam mein,
dil mein kuch armaan they,
Ik tarf
sabzz jhaarriyaan,
Ik tarf
tootay qabristan they,
Paaon taley,
Ik haddi parri,
Jis ke yeh beyaan they,
Sambhal kar chal,
Aye chalney waley,
Kabhi hum bhi,
Insaan they..
No comments:
Post a Comment