Types of Urdu Poetry Biography
Source:-Google.com.pk
Aik aansu meri palkon pe numanyan
Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi
Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi
Hum ne har daor mein raaton se baghawat ki thi
Aaj pabandi-e-aaien shabistaan hi sahi
Meri taqdeer mein phoolon ka tassawur bhe mahal
Koi gulshan bakaf-o-khuld badamaan hi sahi
Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai
Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi
Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai
Zindagi ek chahat ka silsila hai
Koi mel gia tu koi bechar gia
.
Jissy manga ta duawon mai
Wo kesi owr ko bina mangy mel gia
Yad mai tairi ahien bharta hai koi
Har saans ke sath tujhe yaad karta hai koi
.
Mot tu sachayi hai, ani hai ek din
Tairi judayi mai har roz marta hai koi
Dil torna hamari aadat nahi
Dil hum kesi ka dukhaty nahi
Yeh nigaah-e-husn jhukee jhukee, yeh jabeen-e-naaz dhuaaN dhuaaN
Meray bas ki ab naheeN daastaaN, mera kaaNpta hai ruaaN ruaaN
Ho tilism-e-aalaam-e-raNg o boo, ke hareem-e-anjum o kehkashaaN
Mera saath dey gee mery nazar, woh chhupeiN ge jaa ke kahaaN kahaaN?
Meray dil pe naqsh haiN aaj tak woh ba ehtiyaat nawaazisheiN
Woh Ghuroor o zabt ‘ayaaN ‘ayaaN, woh Khuloos o rabt nehaaN nehaaN
Na safar ba shart-e-ma-aal hai, na talab baqaid-e-sawaal hai
Faqat aik sairy-e-zauq ko, maiN bhaTak raha huN kahaaaN kahaaN
Mery KhilwatoN ki ye jannateiN kayee baar saj ke ujaR chukeeN
Mujhay baarha ye huwa gumaaN, ke tum aa rahey jo kashaaN kashaaN
HaiN hunooz yaad woh qurbateiN, woh neyaaz o naaz woh sohbateiN
Woh tuloo’-e-subha Khunuk Khunuk, woh fizaa-e-shaam jawaaN jawaaN
Yeh taKhayyulaat ki zindagee, yeh tasawwuraat ki bandagee
Faqat ek faraib-e-Kheyaal par mery zindagee hai rawaaN dawaaN
===
Hum nay mana is zamanay maiN hansi bhi jurm hai
Laikin is maahol maiN afsurdagi bhi jurm hai
Dushmani tu khair har surat main hoti hai gunah
Ek muayyan hadd say aagay dosti bhi jurm hai
Hum wafa kar kay rakhtay hain wafaon ki umeed
Dosti main is qadar saudagari bhi jurm hai.
No comments:
Post a Comment